ghalib ki zameen suna hai bari zarkhaiz hai… hum nain sochaa uss main zara hull chala kar daikhain… ![]()
so early in the morning, the wife starts to vent her frustration on her husband
munnay kay abba utho, kaya paRay rehtay ho dopahar honay tak
aoulaad saari bigaR jaai gi tum ko khabar honay tak
nayaaz baT rahi hai mohallay main faTa faT jao
khatam ho jai gi saari, mithoo ko asar honay tak
himmat karo kay ghar ki gaaRi tumhi ko hai chalaana
apnay miThoo kay naazim-e-shehar honay tak
kal say munnay ko sulaana hai tumhain apnay paas
shroo hota hai shaam ko to rota hai sehar honay tak
iraada hai mera kay jahaiz ka karon kuch samaan
kuch hi din hain guRiyaa ki shaadi ki umer honay tak
bohat zaya kiyaa waqt, ab lo hosh kay nakhun
umer nikal jai gi uss ki, tum ko fikar honay tak
by this time, the husband has had enough
kyon dhandhoraa peeT rahi ho mohallay main subhu say
aaj to main bhi naan Talon ga asar honay tak
mohallay ki khabrain nahin milin sunany ko aaj paRosan say
fikrain ghar ki hain bas meray idhar udhar honay tak
ussi kam-bakhat nain kar rakhaa hai tera dimaagh kharaab
baRay sakoon say kaTati thi, tum dono kay sheer-o-shakar honay tak
mehnat say nahin ghabhraata, kar kuch insaaf ki baat
kolhoo kay bail ki tarhaa juta rehtaa tha, dard-e-kamar honay tak
aaj hum nakhaTu hain, la-parwaa aur nadaan bhi hain
hamaari danaai ka charchaa tha, paRos say buqraat ka guzar honay tak
hum ko paRhati hai sabaq, baRi aai aflatoon ki aoulaad
saari chalaaki hai meray raheen-e-sharar honay tak
seeing that the husband is getting angry, the wife changes track
munnay kay abba, bhaRaknay ki to koi baat nahin
ab naan jaon gi paRos main tumhaara amar honay tak
tumhari sehat say nahin baRh kar kuch bhi
khoob araam karo, dawa ka asar honay tak
![]()