LamhoN kay azaab seh rahaa hooN
MaiN apanay wajood kee sazaa hooN
ZaKhmon kay gulaab khil rahay haiN
Khushboo kay hujoom maiN khaRaa hooN
Is dasht-e-talab maiN ek maiN bhee
SadiyoN kee thakee hui sadaa hooN
Benaam-o-numood zindagi kaa
Ek bojh uThaaye phir rahaa hooN
Ek aisaa chaman hai jis kee Khushboo
SaaNson maiN basaaye phir rahaa hooN
Ek aisee zameeN hai jis ko CHookar
Taqadees-e-haram say aashna hooN
Ay mujh ko fareb denay valay
MaiN tujh par yaqeen kar chukaa hooN
MaiN teray qareeb aatay aatay
KuCH aur bhee door ho gayaa hooN
achha hua batah dia azab mei kami nehe ho sekte 
roz poetry forum peh a ker
logo ko tang ker raha hoon:p

Koyal
3
Re: LamhoN kay azaab seh rahaa hooN
ha na ap he ki galti hia na ab bhugtoo
mazak a part nice one :k:
Swera
5
Re: LamhoN kay azaab seh rahaa hooN
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
MaiN teray qareeb aatay aatay
KuCH aur bhee door ho gayaa hooN
[/QUOTE]
bohat hoob, thnx 4 sharing :)
thanks!
abhi tu kuch nahee ker raha
bas aap ki baaton per sir dhun raha hoon 
Dilsay
7
Very nice... thanks for sharing
ab sir dhun ke kia keroon mei
pehlei he boht bikhra hua hon:p


Azad
9
ZaKhmon kay gulaab khil rahay haiN
Khushboo kay hujoom maiN khaRaa hooN
Lajwaab :k:
thanks for sharing
Re: Re: LamhoN kay azaab seh rahaa hooN
Bhugat hee tu raha hoon main 
Thanks for liking 
Re: Re: LamhoN kay azaab seh rahaa hooN
[QUOTE]
*Originally posted by Swera: *
bohat hoob, thnx 4 sharing :)
[/QUOTE]
You are welcome, Thanks for liking :)
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Very nice... thanks for sharing
[/QUOTE]
Shukriya Dilsay :)
Azad
14
Na to humaray hissay ka shukria kahan gia???
Bikher bhi gaya tu kia mera tu hai too
MaiN teray Intezaar main tehra hua hon 
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Na to humaray hissay ka shukria kahan gia???
[/QUOTE]
THANKSSSSSSSS :)
Azad
18
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
THANKSSSSSSSS :)
[/QUOTE]
good
intazar sei koch nehe hasil honei wala
jantei hue bih khud ko dhoka dei raha hoon:p:hehe: