Lamha Lamha Kareeb Aakar............................. Intezar !

Raftaa raftaa jab mai teri raaton se gujar raha tha
Ban ke nasha tu meri aankhon mein utar raha tha

Aanch tere badan ki mujhe jalaati rahi raat bhar
aur main bekhauf teri baahon mein pighal raha tha

shayad tujhe yaad ho wo tera mujhme simat jaana
Jab mai teri aagosh mein aakar khud bikhar raha tha

us raat lipat kar mujhse jo sawaal tere labon ne kiye
Jawaab ban kar main tere hontho par sisak raha tha

Mujhe khud mein kiya shaamil tune saanso ki tarah
Jab main kareeb aakar teri aahon mein ulaj raha tha

darmiyan koi aahat bhi na thi teri dhadkano ke siwa
Jab main dil ban kar tere seene mein dhadak raha tha

Ab raat dhalne ko hai, wo pal aakar gujarne ko hai
Jis pal ki raah mein ye dil ek umra se tadap raha tha

Nam thi aankhe, khaamosh the lab tujhse milkar bhi aaj
lamha lamha kareeb aakar Intezar tujhse bichhad raha tha… !

Re: Lamha Lamha Kareeb Aakar............................. Intezar !

Naughty poem :)

Re: Lamha Lamha Kareeb Aakar............................. Intezar !

Grrrrrrrrr Its Tale Of Naughty Feelings !!!

For More Details Consult waleedHBK........ Who Is Good In Explanation :)

Re: Lamha Lamha Kareeb Aakar… Intezar !

Raftaa raftaa jab mai teri raaton se gujar raha tha
Ban ke nasha tu meri aankhon mein utar raha tha

abhi naseehat naheen hoi hay nashay say :sannan: