***Lamha lamha doobta sooraj dekha hai humney
apney hi khuwaboun ko bikherta dekha hai humney
galb-e-jaan ko kiya soji thi us shaam na janey
apney liye khud say larta dekha hai humney …
arz-e-wafa ka sawal tha jo nahi howa ada kabhi
sach kahney waloun ko sada roota dekha hai humney
wo kiya,mera ayaal kiya,ghum nahi hamien yaaroo
haaye, saaya bhi geroun ka hota dekha hai humney
meri tammanaou,meri khuwaishouN ka hisab kon dey
na raha kuch baki khud ko buja rakha hai humney
na hanso hum per aye nadanouN tumhain kiya pata
khaadim thi jab dunya waqt aisa dekha hai humney
ALLAH,laafz-e-shikayat hai laboun per aaj un key
shafiq jesy “janu” robaaro hasta dekha hai humney ***