madz124
1
Lambi umreN in pahaaroN ki
Kat-ti nahiN hum se
Ik raat ye jaaroN ki
Lambay penday dariyaaoN ke
Laut ke naa aayeN bajray
Altay dhul gaye paaoN ke
Lambay qad haiN darakhtoN ke
Urtay nahiN lamhe
Par kat gaye waqtoN ke
Lamba mausam pat-jhar ka
Pakki umeedeiN haiN
Patta girta nahiN barr ka
Lambay yaadoN ke dhaagay haiN
Aik sadi peechay
Do yug aur aagay haiN
Lambi baileN haiN yaadoN ki
Khwaab lambay saawan ke
Neend gehri hai bhaadoN ki
Lambi lat aabshaaraaN di
MendiyaaN bana maaye
Gut kar mutiyaaraN di
Lambi saans jo li yaaroN
Ik umr udharne lagi
Baat uski chali yaaroN
By: Gulzar
Re: Lambi Umren
Gulzar ne ye nazm Amitabh Bachan ka qad dekh kar likhi thi?
madz124
3
Re: Lambi Umren
Acha now that I have your attention, translate these words for me:
- penday
- bajray
- altay
- bar (or bur)
Nain
4
Re: Lambi Umren

same yehi words mae pochniey wali thi app se 
kihza ka mousam bhi tu aye ga bachooo 
Re: Lambi Umren
Acha now that I have your attention, translate these words for me:
- penday
- bajray
- altay
- bar (or bur)
penda.. jaise kisi bartan ka penda (nichla hissa hota hai).
BaR ek dakarkt ka naam hai
bajra ek qism ki kashti hoti thi
Altay ka nahin pata
madz124
7
Re: Lambi Umren
hmm my guess is, altay means nishaan. paaon ke nishaan dhul gaye, lekin jo jaane wale thay woh laut ke nahi aaye.
Nain
8
Re: Lambi Umren
app ko itna sab kuch kese pata 
Re: Lambi Umren
ye to boht aam alfaz hain
Nain
10
Re: Lambi Umren
mujhe kuch bhi yaad nahi huta chahey esy hi kyun na hu 
Re: Lambi Umren
ye phuppi se milne se pehle huwa ya baad main?
Nain
12
Re: Lambi Umren
bus ek yehi gham hai wo nahi bholti :hinna:
Re: Lambi Umren
apne to apne hote hain :hinna:
Nain
14
Re: Lambi Umren
sare apney apney nahi hutey koi musibat aye na tab asal pata chalta hai apna kon or paraya kon 
Re: Lambi Umren
maine aaj koi dukh bhari stories nahin suneni 