**lamakaaN hai tou makaaN maujood hai
her haqeeqat ka gumaaN maujood hai
gar zameen pairoN talay sirki tou kia
meray sir pay aasmaaN maujood hai
meray dil main ab bhi eik bund baab
gahay gaahay baaz khwaaN maujood hai
saari dunya bhi sitam Dhaey tou kia
app sa gar meharbaaN maujood hai
raakh maiN baaqi haiN bus chingariaN
bujh gya sho’la dhuaaN maujood hai
meer tum bhi mua’tbar ho tab talak
jab talak yeh kaarvaaN maujood hai
niyyatoN ka khoT janay ka nahiN
dil maiN gar sood o ziaaN maujood hai
meray dhaltay jism ko mut dekhiay
is kay ander nau jawaaaN maujood hai
chaak hai daman, gareebaaN taar taar
hum maiN khoo e aashiqaaN maujood hai
hai ajab hamzaad mera sir phira
maiN yehaN hooN, who wahaaN maujood hai
ker gya perdah SABA muddat hui
dil maiN sub kay aastaaN maujood hai**
**
Muhammad Subuktageen Saba**