lakh zabt khawahish kay
beshumar daway hon
usko bhool janay kay
bepanah iraday hon
aur us muhabbat ko tark kar kay
jeenay ka faisla sunanay ko
kitnay lafz sochain hon
dill ko uski ahat pay
barmila dharaknay say kon rok sakta hai
Re: lakh zabt khawahish kay
Lakh zabt-e-khuwhish kay
bay shumar da'vay hoon
usko bhool janay kay
bay-panah iraday hoon
or us muhabbat ko tark kar kay
jenay ka fesla sun-nanay ko
kitnay lafz sochay hon
dil ko us ke aa'hat par
barmala dharaknay say kon rok sakta hay
phir vafa kay sahra main **
*uskay narm lehjay or sogavar aankhon ke *
*khushb'oon ko chonay ke *
*justajo main rahnay say *
*rooh tak pighalnay say *
*nangay pa'oon chalnay say *
*kon rok sakta hay *
**aanso'on ke barish main
*chah'hay dil kay hathoon main *
*hijr kay musafir kay *
*pa'oon tak be choo aao *
*jis ko laut jana ho *
*usko door janay say *
*rasta badalnay say *
*door ja nikalnay say *
*kon rok sakta hay *
Re: lakh zabt khawahish kay
ohhhh
thanks.. I didnt know there was more ---
I just got that part emailed to me..
Re: lakh zabt khawahish kay
waah g bakamal poetry
Re: lakh zabt khawahish kay
wah very nice :)