**Dekh Laila teray majnooN ka Kaleeja kia hay
Khaak maiN mil ke bhi kehta hay ke bigRa kia hay…
Teri ZulfooN ne mujhay aisa nasha kar Dala
Warna saaqi teray mekhaanay main rakha kia hay…
Ye surahi sa badan leke meray paas na aaa
Main sharabi hoooN… sharabi ka bharoosa kia hay… **
Diva
2
You majnoon
..nice one :k:
system
3
Re: Laila
[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *
**Dekh Laila teray majnooN ka Kaleeja kia hay
Khaak maiN mil ke bhi kehta hay ke bigRa kia hay...
**
[/QUOTE]
baraa jigar hai majnoon ka bhaiii.. any ways good work i like it . :D
Ye na thi hamrai kismat 
Hamari aisi kismat kahaaN ke.. Hum majnooN ho saktay..
Ye makaam tou Kismat waloooN ko milta hay 
Tnx 
Re: Re: Laila
Ahsan Bhi… Sirf Jigar naheeN… MajnooN honay ke liye.. Dil and Kidney bhi chahye 
Tnx for likeing 
Dilsay Dear Thnx… 
Capri bhai… Apni iss masoom smile ka matlab bhi bataaoo na 
Re: Re: Laila
O bhai… ye maiN ne naheeN kaha… Shair Uncle ne kaha ha yar 
Re: Laila
[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *
**Dekh Laila teray majnooN ka Kaleeja kia hay
Khaak maiN mil ke bhi kehta hay ke bigRa kia hay...
Teri ZulfooN ne mujhay aisa nasha kar Dala
Warna saaqi teray mekhaanay main rakha kia hay...
Ye surahi sa badan leke meray paas na aaa
Main sharabi hoooN... sharabi ka bharoosa kia hay... **
[/QUOTE]
Tu ne nazroN se pilaye haiN jo phir Jaam pe Jaam
Mot ko seh laiN khooshi se, ye Behakna kya hai?
Re: Re: Re: Laila
shair uncle ne tu ghalti kar di , lekin aap ko tu zara ehtiat karni chahye thi na 
system
15
Re: Laila
Bhaijaan…Aapki Laila abhi tak nazar nahin ayi… Mujhe bhi batayein na…ke..Who is she?
Very Nice… Black Mamba… 
TNX Jaan Lewa 
Oye Zakhmo… maiN kaun hota hoooN Shair uncle ke kamooN maiN dakhal dar makoolat karnay wala.. humm bas UnhoooN ne jo kaha.. theek hay 
KN SIS… wo kia hay na… ke jab mujhay nazar ayegi tou maiN tumhain batoonga na… theek 