raat hotay hi sitaree jo chamaktee dekhe
meri shamat ke jo tere nazaree dekhe
lab-e- aahu se jo nikalti hai woh madhosh pukar
jise suntay hi pathroon ke sinay chertay dekay
woh kiya khoub mere dill ki tammana main thi
jissay duniya main chahanee wale hazaroun dekhe
kiya khoob tamasha hai yeh kiya manzar
laila aak hai aur majnu bae shumar
laila tu mujh ko kiyou itni hawa deti hai
mujh ko aatish main kiyoun itni jala deti hai
dekh tuj pey merain yeh saray tere aashique youn
jase pervane shamma per fida hotay hain
laila bollee tu itna hai nath kath banka jawan
tere jesa hi mujhe chahiyaee aaashiquee yahain
tu jalay tu dekh kiyoun roshan hai sara jahan
yeh jalain tu milti hai sirf rakh yahan
yeh tammana hai keh tuj ko pa loun ger main
dill main apne main tum ko chupa loun aase
jiss se roshan houn darkhan -e- shabab meri
phir houn fida tum pe meri jaan dinn raat aaashi
koi tujh ko na mile ga iss zamane main aasha
jo pilae jam-e- wafa kerde ishiq ko zinda
main nai poocha yeh ishq hoti hai kiya bala
main tu janoun keh yeh tu kerta hai rushwa
main na tuj se abb kareeb aaoun ga
teri janaib bhi kabhi nazar na milaoun ga
bhout ho chuki yeh hai sara- ser dhoka
jab dobay jawaney tu ishq bhi ho thanda
main tu woh haqeqiy ishq ki janib houn rawan laila
jis se milti hain mer ker bhi zindagi ba khuda