Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

**Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana
Hua na tha u mere dard ka safar Jana

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana

Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jana

Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah o saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jana…!**

Re: Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

maah o saal reminds me of tht poem...for pak ...
zehen mai nai aa rahi :(

Re: Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

found it :D
Khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho
Yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon
Yahan khiza ko guzarnay ki bhi majaal na ho
Yahan jo sabza ugay woh hamesha sabz rahey
Aur aisa sabz ke jiski koi misaal na ho
Khuda kare ke na khum ho sar-e-waqar-e-watan
Aur uske husn ko tashvishay maho saal na ho
Har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka aujey kamaal
Koi malool na ho, koi khusta haal na ho
Khuda kare ke mere ek bhi humwatan ke liye,
Hayat jurm na ho zindagi wabaal na ho
Aur khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho

Re: Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

Koi baat nhi jab yaad aa`ay tab shair kr lijiya ga

Re: Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

AAmEEn

Re: Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana

Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana

Dil khol ker dekh nahin saktey na iss liey