Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

**

Tumhary Shehar Mein Aisay B Ghar Milay Hain Mujhy..!**

Mujhy Btao Agar Ghonslay Salamat Thay,
Hawa Mein Urtey Huay Kis K Par Milay Hain Mujhy..!

Main Apney Jaisay Hi ik Shakhs Ki Talaash Mein Tha,
Magar Yahaan To Sabhi Moata’Br Milay Hen Mujhay..!

Prinday Laot Kar Aayen Na Jin Ki Shaakhon Par,
Mery Naseeb K Aisay Shajar Milay Hen Mujhy.

Re: Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

Apne naseeb k shikayat kr rahe hain poet ?:hmmm:

Re: Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

Ji Bilkul…kisi had tak

Re: Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

**Main Apney Jaisay Hi ik Shakhs Ki Talaash Mein Tha,
Magar Yahaan To Sabhi Moata’Br Milay Hen Mujhay..!

:hmmm:

apne jaisa na mile to bhi shikwa aur mil jae to bhi shikayat :pullhair:

****mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha
kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa
**

Re: Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

kai manziloo.n ka thaka howa, kahee.n raaste main luta howa

:hinna:

Re: Lahoo-Lahaan Charaagon K Sar Milay Hain Mujhy..!

:hehe:

Bohat Khoob…