*lagtaa nahin hai ji meraa ujde dayaar main *
*kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar main *
*kah do in hasaraton se kahin aur jaa basen *
*itni jagah kahaan hai dil-e-daagh_daar main *
*umr-e-daraaz maang kar laaye the chaar din *
*do arzoo main kat gaye, do intezaar main *
kitnaa hai bad_nasib “Zafar” dafn ke liye*
do gaz zamin bhi na mili koo-e-yaar main
~~*****
*Bahadur Shah Zafar *
~~~~~
+++++++++++++++++
He was buried in Burma.