Lagta Nahi hy dil mera............

**Bahadur Shah Zafar bhi kabhi “board” hoy hon gy apny 90% gappion ki trha tu unhon ny aik ghazal kahi thi jis ka aik shayr mujhy yad hy **


Lagta nahi hy dill mera ujry diyar main
Kiss ki bani hy alamy na paidar main


baqi kisi ky pass hon tu irsal ker ky shukriya ka moqa dain:jano:

Re: Lagta Nahi hy dillmera............

**Lagta nahi hai ji mera ujreh dayaar mein
Kis ki bani hai aalam-e-na-payedaar mein

Keh do in hasraton se kaheen aur ja basein
Itani jagah kahaan hai dil-e-daaghdaar mein

Umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din
Do arzoo mein kat gaye do intezaar me5n

Itna hai bad_naseeb "Zafar" dafn ke liye
Do gaz zameen bhi na mili ku-e-yaar mein **

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

umr-e-daraz maang kar laye thay chaar din
dou arzoo mai kut gaye dou intazaar mai :hinna:

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

Woh kis ny kaha hy ky,
Zilfy draz mang ky laay thy char bal
Do Arzo main jhar giay do intizar main:D
Thanks Aryaan and Shabu:bb:

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

**Keh do in hasraton se kaheen aur ja basein
Itani jagah kahaan hai dil-e-daaghdaar mein **
:bummer:

thanks goodnews :slight_smile:

Re: Lagta Nahi hy dil mera............

*Umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din
Do arzoo mein kat gaye do intezaar me5n *

nicee kuch qisa aisa he mere sath haii )

Re: Lagta Nahi hy dil mera............

Really kahin asal qisa yeh tu nahi:D
Zilf-e- draz mang ky laay thy char bal
Do Arzo main jhar giay do intizar main

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

khushkhabri hamri zulfain to 4 nahi kafi ziyda hain kahi ap ka ye haal to nahi jo itna yaad arha hai ye shair :aq:

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

Ap sunny ki zulfon ka zima ki strha ly rahi hain ap ki tu man lin:D

Re: Lagta Nahi hy dil mera…

Itni Undoh naak qisam key shairi ko mazahia unda main lay kar :mad: maza kharab kar dia :ast: