Lagta hai zindagi se rishta badal raha hai
Main bhi khafa khafa hoon woh bhi khafa khafa hai
Nadaan jhank dil mein us mein Khuda chuppa hai
Pathar ki moratton mein samjha hai tu Khuda hai
Aakhir yeh kaisi chaahat, kaisa hai yeh tal’luqq
Jaansoz hai bicharna milna bhi ek saza hai
Yeh shama ulfatoon ki bhujne na denge hargiz
Nafrat ki garcheh abkey kuch taiz hi hawa hai
Hans kar kaha yeh us ne kyon mujh se dil lagaaya
Dil torne ki is se behtar koi ada hai
Ghabra ke chal para hoon tanhaeyoon ki raah per
Har ek qadam pe lekin yadoon ka qaafila hai
Rehne do us ko yaaro goshanashee hi ab
Us ki khamosheyoon main sab ke leye dua hai
Kaise yeh zindagi hai har saans hai khata ek
Dekhain ‘Saahil’ kab tak sansoon ka silsila hai
bahut khoob AB thanks 4 sharing!
Hans kar kaha yeh us ne kyon mujh se dil lagaaya
Dil torne ki is se behtar koi ada hai
ma upcomin signature.. :D thankoo :p
Itnay dinoN kay baad itni acha peice paRha hai. :k:
Thanks for the compliments… magar aisi tu baat nahee ke itne dinoo baad acha piece mila parhne ko, mujh se har lehaaz se behtar likhne wale maujood hain is forum per…
[QUOTE]
*Originally posted by XkanwalX: *
Hans kar kaha yeh us ne kyon mujh se dil lagaaya
Dil torne ki is se behtar koi ada hai
ma upcomin signature.. :D thankoo :p
[/QUOTE]
Upcoming... magar kab ?
neway... thanks Kanwal
Thank you friends for your compliments !
wowwww…bohat hi zabardast!!!
thanxs for sharing
Azad
May 22, 2003, 6:58am
17
Dil torne ki is se behtar koi ada hai
Wah
Ghalib
Chacha Ghalib farmatay hain:
Dost gham-khuwari main mairi saee farmawain gay kiaa
zakham kay bharnay talak nakhun na barh jawain gay kiaa
bay-niaazi had say guzri banda parwar kab talak
hum kahain gay haal-e-dill aur aap faramawain gay kiaa
Hazrat-e-nasih gar awain deeda-e-dil farsh-e-raah
koee mujh ko yay toa samjha doa kay samjhawain gay kiaa
gar kiaa nasih nay hum ko qaid acha youn sahi
yay janoon-e-ishq kay andaaz chut jawain gay kiaa?
aaj waan taigh-o-kaphan baandhay huay jaata hoon main
Uzar mairay qatal karnay main wo ab lawain gay kiaa
Hay ab iss maamooray main qehat-e-gham-e-ulfat Asad
Hum nay yay maana kay dilli main rahain khawain gay kiaa