Lagta Hai toofan aayega, kuch udhta gard nazar aata hai
yuh anderi hawaon mein jakda, masaum bedard nazar aata hai
Gham-e-ishq Chupaney Se Na Chup Sakeyga
Aap ka Gulnar chehra, aaj zard nazar aata hai
Bataktey Hi rehtey hai Kehkashan mein hum
Tanhayion mein dooba, dil ka dard nazar aata hai
Khud ko Jala kar, Roshni kar raha hai
Diljale hai jo, koi mard nazar aata hai
Liya tha jab ehsaan, armaan chukanay ka na tha
Jo tha kabhi Farz, ab karz nazar aata hai
Guzaar dengey hum, barbaadiyon mein zindagi yuhi
Aapney hisaab se jeenay mein, na koi harz nazar aata hai