Lagta hay k ab Chahatain assan hain ziyada
Ushaq hain kam chak-e-Gribaan hain ziyada
Ek aadh koi sahib-e-dil bhi hay farokash
Ab kocha-e-dildar main darban hain ziyada
Muddat se koi janib-e-maktal nahi aya
Qaatil bhi tawaqu se pareshan hain ziyada
Jis taaj ko dekhon wohi kashkol numa hay
Ab k to Fakerron se bhi sultan hain ziyada
Har aik ko dawa ay yahan chaa gari ka
Ab dil k ujarnay k imkan hain ziyada
Kiya kiya na ghazal us ki judai main kahi
Hum per shab-e-hijran teray ehsaan hain ziyada
Logon ne to zakham diye thay so diye thay
Kuch teray karam hum pe meri jaan hain ziyada
Mushaatah Duniya se kahay kon FARAZ ab
Hum yaar ki zulfoon se pareshan hain ziyada