Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

Yuun Bhi Nahi Ke Meray Bulanay Se Aa Gaya
Jab Reh Nahi Saka To Bahanay Se Aa Gaya

Re: Lafzi Bait Bazi

Muddatt kay baad aaj ussey daikkh karr Munir'
Aik bar to dil dharka magar phir sambhal Gaya

Re: Lafzi Bait Bazi

Dukh Sab Ke Mushtarik Thay Magar Hoslay Juda
Koi Bikher Gaya To Koi Muskura Dia

Re: Lafzi Bait Bazi

uske sulook par Adeem apni hayat-o-maut haii
woh jo mila Tou jii uthe wo na mila to mar gaye

Re: Lafzi Bait Bazi

Uss Ne Hansi Hansi Main Muhabbat Ki Baat Ki
Mainay Adeem Uss Ko Mukarnay Nahi Dia

Re: Lafzi Bait Bazi

Uss k ishq mein bheeg k waasiq hum ko ye ehsaas huva
dil ki baat mein aanay waale kuch kuch pagal hotay hain

Re: Lafzi Bait Bazi

Jis Ko Chaaho Usay Ehsas-e-Khudai Dedo
Silsila Pyaar Ka Rakho To Ibaadat Jesa

Re: Lafzi Bait Bazi

Aao adam in sundar sundar mortiyon se phir Pyar karain
ujjlay ujjlay dhokay khaaye aikk zamanaa beet gayaa...

Re: Lafzi Bait Bazi

Nikalna Khuld Se Adam Ka Suntay Aye Thay Lekin
Baray Be'aabru Hoker Teray Koochay Se Hum Niklay

Re: Lafzi Bait Bazi

Kaheen Se uss haseen awaaz kii khushbu pukaray gii
aur uss k saath hi badlay ga dil-e-barbaad ka mausam

Re: Lafzi Bait Bazi

Kabhi Daykhee Hay Phooloon say Juda Hotay Hovay** Khushboo**
Muhabbat Jis Kay Dil Main Ho Woh Harjai Naheen Hotaaa

Re: Lafzi Bait Bazi

Hamarii tabahi ka sabab matt pooch aey Adam`
kissi ne dast-e-Mohabbat barha kar chohrr diya

Re: Lafzi Bait Bazi

Humara Dil Savayray Ka Sunehra Jaam Ho Ja'ey
Charaghoo'n Ki Tarah Aankhain Jalain Jab Shaam Ho Ja'ey
Ajab Halaat Thay Youn Dil Ka Sauda Ho Gayaa Aakhir
**Muhabbat **Ki Havaylee Jis Tarah Neelaam Ho Ja'ey

Re: Lafzi Bait Bazi

Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Muhabbat Faateh-e-Aalam
Jahaad-e-Zindagani Main, Ye Hain Mardo'n Ki Shamsheerain

Re: Lafzi Bait Bazi

Muhabbaton mein har ik lamha wisaal hoga Ye taey huva tha
Bicharr ke bhii aik dosray ka khayaal hogaa ye taey huvaa tha

Re: Lafzi Bait Bazi

Her Aik Baat Pe Kehtay Ho Tum Ke Tuu Kia Hai
Tumhi Kaho Ke Ye Andaaz-e-Guftugu Kia Hai

Re: Lafzi Bait Bazi

Mann ki mann mein Baat rahay to mann ko laage rogg
mann kholein tou mushkil kar dain jeevan apnaa logg

Re: Lafzi Bait Bazi

Re: Lafzi Bait Bazi

tu qareeb dil kay itna hai mehrbaan meray
mai suno teri woh batain jo mun mai to kahay

Re: Lafzi Bait Bazi

Unka Tasavvur, Unki Baatein, Unhi Ki Har Adaa Thi
Dekhte Hi Dekhte, Dil Unko Janaab De Behte Hum