Re: Lafzi Bait Bazi
dil gaya tum ne liya ham kya karen
jaanevaalii cheez kaa Gam kya karen
Re: Lafzi Bait Bazi
dil gaya tum ne liya ham kya karen
jaanevaalii cheez kaa Gam kya karen
Re: Lafzi Bait Bazi
Tujhay bhula kay jiyooN aisi bad-dua bhi na day
Khuda mujhay yay tahamul, yay hosla bhi na day
Yay umer maiN nay teray naam bay-talb likh di
Bhalay say daman-e-dil maiN kaheen jagah bhi na day
Re: Lafzi Bait Bazi
Nahi Hai Gard-e-Rawaan Pe Kisi Ka Ikhtiar Magar
**Khuda **Wo Waqt Na Laye Ke Sog'war Ho Tuu
Re: Lafzi Bait Bazi
Khudaa ham ko aisi Khuda_ii na de
ki apane sivaa kuchh dikhaa_ii na de
Re: Lafzi Bait Bazi
Khud se ham ik nafas hile bhi kahaan
us ko dhuundhen to vo mile bhi kahaan
Re: Lafzi Bait Bazi
Na dilsay aah na lab say sada nakaltee hai
Magar ya baat bari door ja nakaltee hai
Main kiya karon maray qatil na chahnay par behi
taray liya maray dill say dua nakaltee hai
Re: Lafzi Bait Bazi
ik gazal us pe likhuun dil kaa takaazaa hai bahut
in dinon Khud se bichhad jaane kaa dhadakaa hai bahut
Re: Lafzi Bait Bazi
Do Chaar Lafz Keh Ke Main Khamosh Ho Gaya
Wo Muskura Ke Bolay Buhat Boltay Ho Tum
Re: Lafzi Bait Bazi
do javaan dilon kaa Gam, duriyaan samajhati hain
kaun yaad karataa hai, hichakiyaan samajhati hain
Re: Lafzi Bait Bazi
Is Ko Naa-Qadri-E-Aalam Ka Sila Kehte Hain
Mar Gaye Ham To Zamaane Ne Bahut **Yaad **Kiya
Re: Lafzi Bait Bazi
Wabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiaan Bhi Theen
Acha Kia Jo Mujh Ko Faramosh Ker Dia
Re: Lafzi Bait Bazi
yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul gaye
us ki galiyon se jab laute apanaa bhi ghar bhuul gaye
Re: Lafzi Bait Bazi
Dekha To Wo Haseen Laga Saray Sheher Main
Socha To Wo Zaheen Bhi Zalim Bala Ka Tha
Re: Lafzi Bait Bazi
dekhaa to tha yuun hi kisi Gafalat-shi'ar ne
deewaanaa kar diyaa dil-e-be-iKhtiyaar ne
Re: Lafzi Bait Bazi
Dil-e-Veeran Hai Teri Yaad Hai Tanhai Hai
Zindagi Dard Ki Baanhon Main Simat Aai Hai
Re: Lafzi Bait Bazi
dil aur wo bhi TuuTaa huaa dil
ab zindagi hai jiine ke qaabil
Re: Lafzi Bait Bazi
Past Hoslay Walay Tera Saath Kia Daingay
Zindagi Idher Aaja, Hum Tujhe Guzarain Ge
Re: Lafzi Bait Bazi
zindagi ki raunaq ko yuun sajaanaa padataa hai
dard sahanaa padataa hai Gam chhupaanaa padataa hai
Re: Lafzi Bait Bazi
**Gham **Aur Khushi Main Farq Na Mehsuus Ho Jahan
Main Dil Ko Uss Maqaam Pe Laata Chala Gaya
Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Lia
Jo Kho Gaya Main Uss Ko Bhulata Chala Gaya