Lafz naheen pohnchay........

shayad kisi parinday kay paroon main ulajh gaey hoon gay
ya lamha ba lamha apni surat kay badaltay baadloon kay saath
chal parray hoon
hawaoon kay sang naey daysoon main ja basay hoon
ya dasht kay udaas gaysuoon main chhup gaey hoon gay
shayad ufaq kay dhundlakay main simat gaey hoon gay
andhyroon say dar gaey hoon, ujaloon main ghir gaey hoon gay
ya musafatoon say haar kar rastay main ruk gaey hoon
es farash say ous arsh tak kay safar main
kia kia hadsay milay hoon
keh aasmanoon tak es baar lafz naheen pohnchay

Masha allah....

Bohat khoob :k:

darood sharif paR ke bhejne they, foran pohanch jaatey.

Wah.. Lovely!... thanks for sharing...

lovely:k::k:

:konfused: