Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Wajood -e- Zan say hai tasweer-e-Kainaat main rung
Isi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-daroon
Kainaat
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Wajood -e- Zan say hai tasweer-e-Kainaat main rung
Isi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-daroon
Kainaat
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
http://www.sadpoetry.org/wp-content/uploads/2013/10/waisf-ali-wasif-poetry.jpg
Kitaab
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Daikh main ho gia badnaam kitabooN key tarah
mairi tashheer nah kar aab to jala day mujh ko
badnaam
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**zahar-e-Gam kar chukaa thaa meraa kaam **
**tujh ko kis ne kahaa ke ho badanaam
zahar**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Krna hi tanz hai to hansny ka kya takalluf,***“JANA”
***Kiun zeher de rhe ho MOHABBAT mila mila kar…??
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
next word :halo:
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**Najron Se Hi Nahi, Is Dil Se Bhi Door Jana,
Tumse Eak Guzarish Hai, Mujhe Bhool Jana
Guzarish**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Jatay ho Khuda Hafiz haan ittni guzarish hay
jab yaad hum aa jain, milnay key dua karna
Dua
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**Wo bahut raheem-o-kareem hai, **
mujhe ye sifat bhi ataa karey,
tujhe bhulney ki dua karu,
**to dua me meri asar na ho
asar**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
dil meN hai mulaaqaat kii Khwaahish kii dabii aag
**mehandii lage haathoN ko chhupaa kar kahaaN rakhooN
mehndi**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Poori Mandi bhi lagani nahin aati aab tak
kaisay aaya tujhay gharioon say lagana dil ka
ghair
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
sohbat mein Ghair kii na parii ho kahiiN ye Khoo
**dene lagaa hai bosaa baghair iltijaa kiye
Bosaa**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
![]()
Manga Jo UnsY Bosa To Sharma K Keh DiYa,
100 Baar LijiYe Amaanat Hain Aap Ki…!
![]()
Amaanat
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**main ik khvaab sahii aap kii amaanat huun **
**mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaan kii tarah
Khawab **
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
one of my all time fav
Khawab LafzooN maiN dhal naheeN saktay
Kash! aankhaiN parha karay koi
kash
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Kash tujhe waqt ke sehraa main lagay mohabbat ki piyas
Aur tu tadap ke mangay mujhe pani ki tarah
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Oh, sorry
Seen/alif
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
u r mixing something
yahan aap ne lafz batana hai
bait bazi mein harf
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
yes boss, its my fault… abhi new hn forum pe yar… ![]()