Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
*Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyuun nahin dete *
**bismil ho to qaatil ko duaa kyuun nahin dete
Qaatil**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
*Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyuun nahin dete *
**bismil ho to qaatil ko duaa kyuun nahin dete
Qaatil**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Ishq Qatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Maangay Ga
Jaza
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat kare.n
Khudaa milaa ho jinhe.n vo Khudaa kii baat kare.n
sazaa**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**Aankah kholtay he yaad aa jatay ho
Tumhain to Bus sattanay ka Bahana chahiye
Sattana **
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
*yahii hai aazamaanaa to sataanaa kis ko kahate hain *
**aduu ke ho liye jab tum to meraa imtihaan kyon ho
Imtihaan
**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**KhazaooN main hota hay Imtihaan wafaooN ka
Jo Shajjar ko pyaaray hooN woh pattay nahin girtay
Shajjar
**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
*jo shajar suukh gayaa hai vo haraa kaise ho *
**main payamabar to nahin meraa kahaa kaise ho
Payambar**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Wada Khilaaf yaar say kaheo pyambar
aankhooN ko roog day gaiy keon intizaar ka
roog
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
*apanii lahar hai apanaa rog *
**dariyaa huun aur pyaasaa huun
Lahar **
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata,
Lahroon say pani ko hataya nahin jaata,
Bananay walay ban jatay hain apnay,
Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata
dushwar
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahin insaan honaa
Insaan**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vahii Khudaa degaa
Khuda**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
iss say yaad aaya
NadaaN hain jo rakhtay hain umeed kissi par
Ik Zaat-e-Khuda Kay Siwa koi kissi ka naheen hota
Zaat
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
tere aane kii jab Khabar mahake
tere Khushbuu se saaraa ghar mahake
shaam mahake tere tasavvur se
**shaam ke baad phir sahar mahake
tasavvur**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
mujhay yah yaad aa gai
Dil dhoondhta hai, phir wahi, fursat ke raat din
Baithe rahein, tasavvur-e-jaana kiye hue
fursat