Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**mujhe chhoR de mere haal par teraa kyaa bharosaa hai chaaraagar **
**ye terii nawaazish-e-muKhtasar meraa dard aur baRaa na de
Nawaazish**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**mujhe chhoR de mere haal par teraa kyaa bharosaa hai chaaraagar **
**ye terii nawaazish-e-muKhtasar meraa dard aur baRaa na de
Nawaazish**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**bara chubhta howa sher yaad aaya
Yeh Bhi Ahbaab Ki Nawazish Hai,
Kis Takalluf Se Kaam Laite Hain
Ehteraman Salam Karta Hoon,
Intiqaman Jawaab Daite Hain
Intiqaam **
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
wo yad b ab k aya hai or jag uthi hai khwahish b
taza dard or sard HAWA or sal ki pehli barish b…
khwahish???
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Nice but you to share a she’r having Justajoo in it ![]()
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
i think i answered page one :-s
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Uski justaju, uska intizar aur akela’pan!
***Thak kar muskura deta hun jab roya nahin jata.
***Intazar…
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
iss say milta julta sher yaa aa gia
**Intizar-Umar-e-Taveel kay baad, Bhija jo Qasid Ko unn key Taraf
Qasid plat kra khoub roya, kah Taa’ruf poochtay hain woh
Taau’ruf **
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Intezar e Umer e Taveel Kay Baad, Bheja Jo Qasid Ko Unki Taraf
Qasid Palat Kar Khoob Roya, Ke Taaruf Poochhtey Hain Wo
Roya ya roona
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Janta hoon aik aisay shakhas ko main bhi Munir
Gham say pathar ho gia lekin kabhi nah roya
Pathar
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Wo Pathar Dil he Sahi Lakin Hamaea Bhi ye Dawa Hay
***Hamaray Laab Jinhein Choo Lain Wo Pathar Bhol Uth’thay Hay
laab
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
mat cheen apna naam mairay laab say iss tarah
iss bay naam zindagi main taira naam he to hay
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
what is next word?
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Cheen / Cheenana
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
**le gayaa chheen ke kaun aaj teraa sabr-o-qaraar **
**beqaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii
beqaraarii**
Re: Lafz Ba Lafz Poetry -June
Beqarari meri dekh li hai to ab mera zabt b dekhna FARAZ,
Itna khamosh rahun ga k cheekh uthay ga woh.
Khamosh