Lafz Ba Lafz - poetry Game

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

aa.nkhe.n yuu.n hii bhiig ga.ii.n kyaa dekh rahe ho aa.nkho.n me.n
baiTho saahab kaho suno kuchh mile ho kitne saal ke baad

saal

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**ab naye saal kii mohalat nahin milane vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabon vaale

azaabon

**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

vo din thaa dozaKH kii aag jaisaa
vo raat gahre azaab jaisii

dozakh

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

***Saari Dunya Hai Meray Wastay Dozakh Ki Tarah,
Haan Magar Shakhs Woh Meri Panahoon Jaisa Hai...

panahon***

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

[TABLE]

hamen KHabar thii shahr-e-panah par khaRi sipaah munaafiq hai
hamen yaqeen thaa naqab-zano.n se ye dastaa mil jae ga

Munafiq

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

dhaRakate haiN dil kitanii aazaadiyoN se
bahut milate julate haiN in waadiyoN se
muhabbat kii rangeeN
** panaahoN**** ke saaye
ye dil aur un kii nigaahoN ke saaye

Rangeen
**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

aap late ho gae... ab word hai 'Munafiq'

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Eik toh mein karachi walon say tung aa gaya hoon. :emmy:

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**ham se sharmaataa hai aaina muqaabil aakar
bewafaa haiN na munaafiq na adaakaar haiN ham

bewafaa**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

be-muravvat bevafaa naa-mehrbaan naa-aashnaa
mere qaatil mere haasid mere dushman aap hain

dushman

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

taak mein dushman bhi thay aur pusht par ehbaab bhi
pehla teer kis ney maaraa yeh kahaani phir sahi

kahaani

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

kahaani main to kirdaaron ko jo chaahe banaa dijiye
haqeeqat bhi kahani-kaar ho aisaa nahin hotaa

Kirdaar

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

http://3.bp.blogspot.com/-gjwPWqleuhk/T8XmkFJn3UI/AAAAAAAABVw/Sf1t5MWauAE/s400/husn%2Be%2Bkirdar.jpg

eblees

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

Jamhoor Ke Ibless Hain Arbaab-E-Siyaasat
**Baaqi Naheen Abb Meri Zaroorat Tah-E-Aflaak

Zaroorat**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

***Ek waqt tak mein us ki zaroorat bana raha
phir yun hua ke us ki zaroorat badal gaye...

Waqt***

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

har waqt kaa hansnaa tujhe barbaad naa kar dey
tanhaai key lamhoun mein kabhi rou bhi liyaa kar

tanhaai

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

***Chandni ban kar barasti hain teri yaadein mujhe par
bara dilkash hota hia meri tanhai ka manzar....

Dilkash***

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

benaam-o-nishaa.n rahnaa Gurbat ke ilaaqe me.n
ye shahr bhii dilkash thaa tab ham ko pasand aayaa

Pasand

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

**mujhe pasand nahin is pe gaam-zan honaa
vo rah-guzar jo guzar-gaah-e-aam ho jaaye

rahguzar
**

Re: Lafz Ba Lafz - poetry Game

raqs karane kaa milaa hukm jo dariyaao.n me.n
hamne Khush hoke bhanvar bandh liye paon me.n

bhanvar