Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

tum aaye to aayaa mujhe yaad, galii meN aaj chaaNd nikalaa
jaane kitane dinoN ke baad, galii meN aaj chaaNd nikalaa

Yaad

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

nahin qaabil terey lakin munaasib jou agar samjho
yaad rakhna duaaon mein yehi hai duaa ae dost

dost

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

*koi dost hai na raqiib hai
teraa shahar kitanaa ajiib hai
*

**vo jo ishq thaa vo janoon thaa
ye jo hijr hai ye nasiib hai

Janoon **

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Junoon Mein Jitni Bhi Guzari Bakaar Guzari Hai
Agarche Dil Pe Kharaabi Hazaar Guzari Hai​

Kharabi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

uss shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq key maarey
zinda hein yehi baat bari baat hai pyaarey

zinda

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Zinda hoon iss tarah kay ghum-e-zindagi nahin
Jalta howa diya hoon magar roshni nahin

Diya

**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Zaroori bhi nahi ke har diya jalay mere rah par
Naam ka tere ek diya Kafi hai dil mein ujalay ke liye...

Ujalay


Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ujaaley apni yaadon key hamarey saath rehney do
naa jaaney kis gali mein zindagi ki shaam hou jaaye

shaam

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Shaam tak qaid raha kartay hain dil ke andar
dard ho jatay hain Saray hi riha Shaam ke baad....

Riha***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**asiir karake hamein kyon rihaa kiyaa saiyaad
vo ham-safiir bhii chhuute vo baag bhii na milaa

saiyaad**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

uljhey hein paaoon yaar key zulf-e-daraaz mein
lou aap apney daam mein saiyyaad aagaya

zulf

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Is Qadar Manoos Sayyad se ho Gaye, ,
Ab Rihay Milegi to Mar jayenge

Rihai

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Aah ko chahye ik umar asar honay tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak

asar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

asar karey naa karey, sunn tou ley meri fariyaad
nahin hai daad kaa talib yeh banda-e-aazaad

fariyaad

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

thak gaya hai dil-e-wehshi mera faryaad se bhi,,
jee behalta nahi ae dost teri yaad se bhi...!!
Wehshi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Dil-e-Wehshi Ki Ye Hasrat Bhi Nikaali Jaaye
Chaandni Jitni Bhi Mumkin Ho Chura Li Jaaye

Chaandani **

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Chandni chand se hoti hai sitaron se nahin
Muhabbat ek se hoti hai hazaron se nahin :hehe:

Chand

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**vo koii aur na thaa chand Khushk patte thay
shajar se tuut ke jo fasl-e-gul pe roye thay

Shajar**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Shajar Shajar Pe Jo Jaal Ho Ga,
To Panchhiyon Ka Zawaal Ho Ga;
Sitara Matti Men Gum Huwa To,
Tumhen B Is Ka Malaal Ho Ga;

Zawaal

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Kabhi Arooj Hai To Kabhi Zawal Hai
Kahan Kisi Ko Kisi Ka Khayal Hai

Waqt Ko Koi Rok Sakta Nahin
Kahan Kisi Ke Hath Mein Mah O Saal Hai

Arooj
**