Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Kuch is tarah se nazar andaz hogaye
jaisay izafi harf they teri zindagi ki kitaab mein...

kitaab***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota


Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Nigah
**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Mujhe daikh kar Jo ek Nazar
mairay Saray dard samajh sakay
Jo is qadr ho charahgar
Mujhe us nigah ki talash hai....

Talash***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

aik teri talaash thi mujhe
warna mein tou bhut mukammal tha

mukammal

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

****Koshish Ke Bawajood Jo Mukammal Na Ho Sakin*
**Tera Naam Bhi Unhin Khuwahishon Mein Hai...

koshish*****

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Kis-ko Mukammal Jaha Mila Hai
Jo Tu Dhoond Raha Hai Saaki
Manzil Pe Pohanch Kar Bhi
chand Kadmo Ka Fasla Reh Jaayega Baaki

Pohanch**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

woh mo'ajzaat ki hadd tak pohanch gaya hai qateel
huroof koi bhi likhun usi ka ism baney

hadd

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

**Bay niaazi hud sa guzri banda parwar kab talaq,
Hum kahain gay haal e dil or aap farmayain gay kiaa

Guzree**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Guzri hai tere baaad kuch is tarha her shab
her lamha teri yaad ko dohra sa gya hai.......

shab***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Woh mangta hai duaon mein mujhy to isliye mujh ko,,
Neend shab bhar nhi ati, chain din bhar nhi milta,,

Dua

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
mere nagmat ko andaz-e-nava yaad nahi

Navaa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

zamiir-e-asr meN kabhii navaa-e-dard meN kabhii
suKhan-saraa to maiN bhii huuN sadaaqatoN ke darmiyaaN

sukhan

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Mairay kam sukhan ka ye hukm tha ke kalam is se main kam karun
mairay hont aisay silay ke phir meri chup ne us ko rula diya....

kalam***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

ye tarz-e-fikr, ye rang-e-suKhan kahaaN,'Qaabil'
tire kalaam se pahle, tire kalaam ke ba'd

fikr

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Khurdmandon se kia poochun ke meri ibtida kia hai
ke mein is fikr main rehta hun meri inteha kia hai...

inteha***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Had E Inteha Se Bohot Aagay Tumhe Chaha Hai
Hum Ne Wafa Se Bohot Aagay Tumhe Chaha Hai

wafa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

vafaa kaisii, kahaN kaa 'ishq jab sar phoRnaa Thehraa
to phir, ai sang_dil!" teraa hii aastaaN kiuN ho?

aastaaN

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Sar e falak na kabhi taab e aastan pahuncha
Ke ibtedaa e bulandi thi intehaa e falak...

bulandi***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Iss bulandi pe aa ke boht tanha hoon
kash main sab ke barabar hota

Barabar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Bhulaata laakh hun lekin barabar yaad atay hain
Ilaahi tarq e ulfat par wo kion kar yaad atay hain...

ulfat***