Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
http://www.sadpoetry.org/wp-content/uploads/2013/03/Inspirational-Poetry31.jpg
Khakh
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
http://www.sadpoetry.org/wp-content/uploads/2013/03/Inspirational-Poetry31.jpg
Khakh
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
***Mila kar khak main mujh ko wo kuch is ada se bola
khilona tha ye mitti ka.. kahan rakhnay ke qabil tha...
khilona***
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Zindagi Kaanch Ka Khilona
Aakhir Toot Jana Hai
Do Ghari Beth Mere Paas
Mujhko Bohot Door Jana Hai
kaanch
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
doobi hein meri unglian mere hi khoon mein
yeh kaanch ke tukron par bharose ki saza hai
saza
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Aaj Bhi Dard Bhari Aankhoon Mein
Uss Mohabbat Ki Saza Baqiii Heyyy!
dard
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki
Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein
badshahon/badshah
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha,
Utha hai dil mein Tamashay ka aaj shoq …bohat!
aag
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
lagi thi aag darkhton ko ek zamana hua'
dhuwan sa aaj bhi uththa hai aashiyanon se
dhuwan
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.
karwan
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Mein akela hi chala tha janib-e- manzil magar,
Loag saath aate gaye aur karwan banta gya.
Akela
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Dosti Ki Raho Mai Kabhi Akela pan Na Mile
Aai Dost Zindagi Mai Tumhe Kabhi Ghum Na Mile
Dua Karte Hai Hum Khuda Se
Tuhme Jo Bhi Dost Mile Hum Se Kam Na Mile
dost
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
kisi dushman ne yeh izzat mujhe ab tak nahin bakhshi,
Hamesha dost hi ka haath puhncha hai girebaan tak.
dushman
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
hum ko dushman ki nigahon se na dekha kejiye
pyar hi pyar hain hum hum pe bharosa kejiye
Bharosa
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Kafir hay to shamsheer pay karta hay bharosa
moomin hay to be taiGh bhi laRta hay sipahi
taiGh
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Kafir hay to shamsheer pay karta hay bharosa moomin hay to be taiGh bhi laRta hay sipahi
taiGh
Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat chheeno
Kabhi kisi se kisi ka kamal mat chheeno
dhaal
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
**Lafzoon Main Dhaal Dhaal Kay, Main Haadsaat Ko
Tarteeb Dey Raha Hoon Qitaab-E-Hayaat Ko
haadsaat**
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
**Lafzoon Main Dhaal Dhaal Kay, Main Haadsaat Ko Tarteeb Dey Raha Hoon Qitaab-E-Hayaat Ko
haadsaat**
dhaal noun use huwa hai verb nahin... noun wala shair sunaiye
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
yeh grammar kahan say aa gayee. ![]()
Hadasaat say shair likhein.
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
nahin aap dhaal se sunaiye… talwar aur dhaal wala dhaal alag hai aur lafzon main dhaal wala dhaal alag
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
nahin aap dhaal se sunaiye... talwar aur dhaal wala dhaal alag hai aur lafzon main dhaal wala dhaal alag
aaj kul AK47 ka zamana hai talwar aur dhaal ka nahin