Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Apni yaadoun se kaho aaj ki chutti dey dein mujhe
ishq key hissay mein bhi ik itwaar hona chahaiye
hissa
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Apni yaadoun se kaho aaj ki chutti dey dein mujhe
ishq key hissay mein bhi ik itwaar hona chahaiye
hissa
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
***Meri Takmeel Mein Shaamil Hai Tera Hissa Bhi*
**Mein Agar Tujh Se Na Milta To Adhoora Rehta
Adhoora****
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
ME APNY AP KO KAHEN ADHURA SA MEHSUS KERTA HUN
NA JANY KON CHOR GAYA HY MUJY TAMEER KERTY KERTY
TAMEER
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
*DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pey IqbaL
*Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye
Aashiyanon****
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Lagi thi aag darkhtoun kou ik zamaana hua
dhuwan saa aaj bhi uthtaa hai aashiyanon se
dhuwan
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
dhuan bana kE fiza me udaA dia mujhko
mein jal raha tha kisi ne bujha dia mujhko
Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par
Fasil-e-shaher mein kisne saja diya mujhko
Faseel
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
aa! fasiil-e-shahr se dekheN Ghaniim-e-shahr ko
shahr jaltaa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun?
Faiz Ahmad "Faiz"
**
baam**
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Aye ho to roshani hui ha,
Is baam pe koi tara kab tha,
dekha hua ghar tha par kissi ne,
Dhulhan ki tarahan sanwnara kab tha
dulhan
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
tum shaad raho, aabaad raho, Khush Haal raho dulhaa dulhan
“Sai’hbaa!” kii du’aa ko maHfil meN is tarHaa sunaayii jaatii hai
KKF “Sahbaa”…![]()
sai’hbaa
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
kaise jiyun ga main agar tu na bani meri sahiba
roz maroonga main agar tu na bani meri sahiba ![]()
chalo ab masti khatam.. dulhan se serious shair sunaen
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
lo jii…maiN ne inni jhak maarii kia vo serious she’r nahiiN thaa? ![]()
ok, here is one from Parveen Shaakir she’r:
this is the FIRST time ever that i’ve quoted Parveen Shaakir’s she’r. ![]()
**kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaauuNgii
maiN apne haath se uskii dulhan sajaauuNgii
**zabt
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Zabt apna sha'aar tha na raha
dil pe kuch ikhtiyaar tha na raha
Unki be-mahriyon ko kiya maloom
koi umeedwaar tha na raha
umeedwar
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
ummiidvaar-e-va'da-e-diidaar mar chale
aate hii aate, yaaro! qayaamat ko kyaa huaa?
Mir Taqi "Mir'
**
diidaar**
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
**Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
jaise amavas ne har raat chand maanga,
ruth gaya wo khuda bhi humse,
jab humne apni har dua mein unka sath maanga
nigahon**
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
kahaaN the raat ko? ham se zaraa nigaah mile,
talaash meN ho k jhuuTaa koii gavaah mil?
DaaGh Dehlavii
gavaah
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
**Yeh shab yeh subah aur har disha
Yeh gawah hain mere pyar ke
Yeh zameen, yeh jahaan aur yeh aasmaan
Yeh gawah hain mere pyar ke
Zameen**
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Meri Zameen mera aakhri hawala hey.
So main rahoon na rahoon is ko barwar kar dey
hawala
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Tu meri zaat kaa mustanad hawaala hai
kitaab-e-ishq mein saarey nisaab terey hein
zaat
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
**meraa dard nagmaa-e-besadaa
merii zaat zarraa-e-benishaan
Naghma **
Re: Lafz ba Lafz- Poetry game
Woh Shair Key Paighaam-e-Hayaat-e-Abdi Hai
Yaa Naghma-e-Jibreel Hai Yaa Baang-e-Sarafeel!
paighaam