Lafz ba Lafz- Poetry game

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Tere hote hue mahafil main jalaate hain chiraaG
log kyaa saadaa hain suuraj ko dikhaate hain chiraaG

saada

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Khudawanda Yey Terey Saada Dil Bandey Kidhar Jaein
Ke Darvaishi Bhi Ayyaari Hai, Sultaani Bhi Ayyaari

darvaishi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game


chaahiye paiGhaambar donoN taraf
lutf kia jab doo-ba-doo hone lagii
:p

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

word kahan hai? :smack:

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Khuda wanda yeh teray saada dil bnday kidhar jayen,
K darvaishi b aiyyari hai, Sultani bhi aiyyari,

Aiyyaari

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

uss ke chehre se hategi jab taqaddus ki naqaab
uss ki **
aiyyaari**** ka uss din tuut jaayegaa bharam

naqaab
**

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mujh ko yeh arzoo woh uthayen naqaab khud,
Unko yeh intizar taqaza karay koi,

Taqaaza

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Hum na samjhe teri nazron ka takaza kia he
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kia he

jalwa

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Dikhayi dia mujhe tou usi ka jalwa meer
pari jahaan mein ja kar jahan nazar meri

nazar

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Sukoon-e-zabt ki sb koshishen bekaar jati hain,,
Nazar atay ho ek lamha to pehron dil dharakta hai,,

Lamha

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***Sukoon ka ek lamha bhi mayassir nahi mujh ko
mohabbat ko sulata hun to nafrat jaag uthti hai....

sukoon***

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mana kE pur khatar hain mohabbat ki manzilein,
Lekin sukoOn-e-dil bhi inhi manzilOn mein hai

Manzil

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nah

raah

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Koi jab poch bethe ga khamoshi ka sabab tum se.
Bohot samjhana chaho ge magar samjha na pao ge.

Khamoshi

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Manzil pe shair kahan hai?

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Uske Bin Chup-Chup Rehna Aacha Lagta Hai
Khamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Aacha Lagta Hai

sehna

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

***baRa naazuk hai dIL meRa is ka aitbaR zaRa keRlo
tumhaRe daRd ko sehna baRi mushkil se sekha hai

aitbaar


Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Ghazab kiya teray waaday pay aitbar kiya,
Tamam raat qayamat ka intizar kiya,

Qayamat

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

wo mujh se badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi

zabt

Re: Lafz ba Lafz- Poetry game

Mujhe apney zabt pe naaz tha, sar-e-bazm raat yeh kiya hua
Meri aankh kesey chalak gayi, mujhe ranj hai yeh bura hua

Bazm