Labour day..!

Aaj mazdooroN ka aalmi diN manaya ja raha hai … Faiz Ahmed Faiz & IQbal sahib yooN raqm taraz huway..!

**Jab kabhi bikta hai bazaar maiN mazdoor ka gosht
shaah-rahoN pe ghareeboN ka lahu behta hai

aag si seenay maiN reh reh k ubalti hai na pooch
apnay dil par mujhay qaabu hi nahiN rehta hai…**

Faiz

**Tu Qadir-o-Aadil hai magar Teray JahaaN maiN
haiN talkh bohat banda-e-mazdoor k auqaat..!

Alama Iqbal**

Re: Labour day..!

Zabardast … :k:

Re: Labour day..!

http://i54.tinypic.com/1zoby3o.jpg

Re: Labour day..!

v nyc Gul e Tasbeeh and Amarbail bro :k:

Re: Labour day..!


aaj kahaN labour Day manaayaa jaa rahaa hai? Labour Day to yahaN to First Monday in September ko manaayaa jaataa hai :)

Re: Labour day..!

mere aur gul ke gahr me :blush:

Re: Labour day..!

So Jaty Hain Footpath Pe Akhbaar Bicha Kar...

Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khatay...

Re: Labour day..!

tumhaaraa aur unkaa kia joR…vo haNsmuKh aur tum #1 ro-unii :crying:…kia tumhaare passport pe yehii pic :crying: lagii huii hai? :omg:

Re: Labour day..!

lagi hai u ko koi aetraz :crying:

Re: Labour day..!

ai’taraaz hai na…jahaN jaaogii…Immigration Officer tumhaare passport kii pic dekh kar ro paRegaa phir uske aazoo baazoo waale rone lageNge…phir pooraa airport rone lagegaa aur ek haa haa kaar kaa aalam taarii ho jaayegaa…is liye ai’taraaz ahi :slight_smile: sudhar jaao :crying: :smiley:

Re: Labour day..!

yehi to main chahti hoon :crying:

Re: Labour day..!

bht umdah sharings

Re: Labour day..!

Nice selection Gul:)

Re: Labour day..!

aap sab ka be-had shukriya :-)

Re: Labour day..!

Very nice thread Gul :k: