labo.n pe narm tabassum

Ahmed Nadeem Qasmi!

labo.n pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaye.N
Khudaa kare mere aa.Nsuu kisii ke kaam aaye.N

jo ibtadaa-e-safar me.n diye bujhaa baiThe
vo bad_nasiib kisii kaa suraaG kyaa paaye.N

talaash-e-husn kahaa.N le chalii Khudaa jaane
umang thii ki faqat zindagii ko apanaaye.N

bulaa rahe hai.n ufaq par jo zard-ruu Tiile
kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaaye.N

tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas
labo.n ko khol kar kuchh sochatii hai.n miinaaye.N

Re: labo.n pe narm tabassum

Bohat khoob Bholay Bisray :k: … thanx for sharing :slight_smile:

Re: labo.n pe narm tabassum

very nice :k:

Re: labo.n pe narm tabassum

thx for sharing such a nice thing

Re: labo.n pe narm tabassum

very nice sharing....thnx!

Re: labo.n pe narm tabassum

nice one Bb lakin aj kal tu tabssam ka kahin naam nahi ap k chahray pe :p

Re: labo.n pe narm tabassum

Amal, Prince Ali, Sannan & mahamkhan. Thanks :slight_smile:

:teary1: :hoonh:

Re: labo.n pe narm tabassum

:halo:

Re: labo.n pe narm tabassum

nice one!!

Re: labo.n pe narm tabassum

bitha ke yaar ko pehloo main shab bhar
jo kuch nahi karte kamal karte hain

Re: labo.n pe narm tabassum

ruk jati hay nazar hadde nazar tak ja kar
dil to chahta hay jahan tuo hay wahan tak dekhun

Re: labo.n pe narm tabassum

waqf hay zehan faqt tere tasawar ke liye
main tuj ko bhoola he kab hoon jo tujhe yaad karon

Re: labo.n pe narm tabassum

:salam:

nice sharing :slight_smile: :clap: