Dil dharaknay pe bhi pabandi laga di jaye
Laash ehsas ki sooli pe charha di jaye
Zehn ki jaama talashi ka bana ker qanoon
Sochnay walon ko moqay pe saza di jaye
Aarzu jo karay deewanon main ker do shamil
Khwab jo dekhay usay jail dika di jaye
Jaan bachanay ka patangon ki bahana ker ke
Shama jalnay se bhi kuch pehlay bujha di jaye
Roz khud soziyon se uthti hai hum per ungli
Khud kushi jo karay gardan hi ura di jaye
Raah batlanay, madad kernay ki aadat na paray
Rasta poochnay pe qaid barha di jaye
Log khushbu ke taa’qub main nikal partay hain
Phool per dekhtay hi goli chala di jaye
Saans lenay ke bhi auqaat muqarrar ker ke
Habs dar habs ko dozakh ki hawa di jaye
Kaam teheer mitanay ka bohat barhnay laga
Naaray likhay hon to deewar gira di jaye
Jabr e halaat se her shakhs ko majnoon ker ke
Bheer man Qais ki aawaz daba di jaye