bujhti hui maloom hoti hay :hinna:
This is an attempt to revive it
and not let the LaaLTaiN go out
Please join me in making a new batti for the laaLTain
so that we may once again see in the dark
Jiss ko yeh nahi maloom kay laaLTain kya hoti hay
woo 20 minute tak murgha (ya murghi) banay
Re: LaaLTaiN ki batti …
yeh paro walay kaam shuru kar diyay aap nay :hinna:
silsila yeh chahat ka .. na mainay bujnay diyaaa… oh piyaaaaaaa
AQ
April 1, 2007, 4:52am
4
Re: LaaLTaiN ki batti …
haaN bhai… Load shedding chal rahi hai.. bulkaY dauR rahi hai
charaagh talaY andhera phelaa hai aur haath ko haath sujhaai naheeN daY rahaa
Re: LaaLTaiN ki batti …
Mitti ka TaaiL bhi check kar loo
ho sakta hay TaaiL ki kami say shoola bujh raha hoo
Re: LaaLTaiN ki batti …
abhi eyes mat roloo
woo murghi bani hui hay
Re: LaaLTaiN ki batti …
mainnay phir murgha banna hay
Re: LaaLTaiN ki batti …
tum kiss kay gham main murgha bann rahay hoo
AQ
April 1, 2007, 4:57am
10
Re: LaaLTaiN ki batti …
ghaaNsleT kaa milnaa itnaa aasaan naheeN rahaa.. aglaY waqtoN kaY zamaanaY la’d gaye jubb miTi kaa teyL koRiyoN kaY moL mil jaayaa kartaa thaa…
Re: LaaLTaiN ki batti …
Gadha GaRi wala ataa thaa rooz shaam ko
Gadhay kay peechay mitti kay TaaiL ki tanki lagi hoti thee
Nalka khool kar TaaiL nikal laitay thaay
AQ
April 1, 2007, 5:03am
12
Re: LaaLTaiN ki batti …
uss Gadha GaRi par bhee ail LaaL TaiN laTki hoti thee :halo:
Re: LaaLTaiN ki batti …
LaaLTain ka tu nahi pata :no:
laikin uss Gadhay ka accelator uss ki dumm kay aas paas kahin thaa
Driver used to do something to that particular area to make him start and stop
AQ
April 1, 2007, 5:09am
15
Re: LaaLTaiN ki batti …
yaar aap GHaaNsLaiT khareedtaY thaY yaa GadhaY kaY accelerator par ghaur-o-fiker farmaayaa kartaY thaY
Re: LaaLTaiN ki batti …
Ghaur o fikar jaan boojh kar nahi karta thaa
Bass khud hi ho jata thaa
AQ
April 1, 2007, 5:29am
17
Re: LaaLTaiN ki batti …
aap kiyaa paidaaishi Allama thaY
Re: LaaLTaiN ki batti ....
diay, qandeel kay zamanay kay puraanay, ujray howay tootay phootay logs...
ham nay jab aankh kholi thi to 200 watt kay bhanday main kholi thi mashAllah... phir hamara apna hi noor aisa tha kay din ko bhi roshni ki zaroora nai rehti thi ...
haan al-batta aik budday baba ko daikha tha,shaheed-e-millat ki paharion par, laaltain jala kar rehta tha apni jhonpri main :s
Re: LaaLTaiN ki batti …
yeh woi professori hain, yaad aaya Tibbet centre kay saamnay baray boards and banner lagay hotay hain, 89 saala Professor and etc …
Re: LaaLTaiN ki batti …
25 salla naujawan sanyasi bawa
with 70 sallaa tajarba