LaaL Baig

jaanay kahan kahan se ye aatay hein laal baig
din raat mard-o-zann ko sataatay hein laal baig

jinko dara sakay na kabhi zindagi mein hum
unko kitchen mein aa k daraatay hein laal baig

kartay hein ISHQ ko bhi ye aajiz shab-e-firaaq
or neend HUSN ki bhi uraatay hein laal baig

laazim hai ye k dil mein rahay koi aap k
khaali gharon ko warna basaatay hein laal baig

keeray hein ye zara say k susraal k aziz
jaatay nahi wo ghar se, na jaatay hein laal baig

Re: LaaL Baig

lolx

hadd hai.. :D

Re: LaaL Baig

:D

Re: LaaL Baig

haey haey :( shair nay itna damagh lal baig par laga diya

Re: LaaL Baig

mehboobaaz par b to itna damaagh lagatay hein. thora bhot to LaaL Baigz ka b haq hai :D

By the way INTIKHAAB par FUNNY POETRY post karna jurm hai kya? Ive never seen anyone post MAZAHIYA SHAIRI here.

Re: LaaL Baig

poet ke gher meyn laal baig ziada teh :AID:

Re: LaaL Baig

han saray tum say marvaey thay na issiliyey tumko pata hai :chai:

Re: LaaL Baig

NO....i dont thiink so

Re: LaaL Baig

v bad MM. saray tum ne kyon maaray. Bheegi ko b moka dena chahiye tha. :smiley:

Re: LaaL Baig

dont think what ?

Re: LaaL Baig

k jurm hai :chai: