Laakh miltay hain hum bahanay say

**Laakh miltay hain hum bahanay say

Pyar chupta nahi chupanay say

**
**Ummar guzari hay dar-badar apni

Hum hillay thay zara thikanay say**

**Aik jadu sa kar gaye mujh par

Kuch makaan thay puranay say**

**Baat karta raha main us say magar

Baat banti nahi bana’nay say

**

**Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho

Tum nikalo humain fasanay say**

**Meri chahat main bhi woh baat na thi

Woh bhi rukhsat hua bahanay say**

**Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay

Teer palta agar nishanay say…!!!

**