**Kyuun tabiiat kahiin thahartii nahiin
dostii to udaas kartii nahiin
Ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekhe to aankh bhartii nahiin
Shab-e-hijraan bhii roz-e-bad kii tarah
kat to jaatii hai par guzartii nahiin
Ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyon se marti nahiin
Jis tarah tum guzaarte ho Faraz
zindagii us tarah guzartii nahiin…!**