Kyun Naam Liya Jaey???

Ash’aar K Parday Men Hm Jinn Se Mukhaatib Hen ..

Wo Jaan Gaey Hon Gay .. Kyun Naam Liya Jaey???

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

:k:

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Jis se muhabbat ki jae, usse ruswa nahin kia jate

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

phir hamein kya

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

chlo thek ha

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Parey mein rehnay doh, pardah an uthao.

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Ab mujh se muhabbat tou fakhar ki baat hui na ..na keh rusvai ki :p

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

muhabbat ne baRe baRe maghroor logon ko ruswa kia hai

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Muhabbat tou rusva he kerti hai ...

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

muhabbat be-ikhtiyar karti hai aur be-ikhtiyari main badnami aur ruswai ka kisse khayal rehta hai

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Uss waqt tou yeh soch hoti hai 'bad naam hongay tou kya naam na hoga' aur baad mein muunh chupatey phirtay hain

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Muhabbat karne walo aur koyle ki dallali karne walon main kuch to farq hota hai… phir muhabbat karne walo ko ye kiyun kehte hain ke ’ tune to mere chehre pe kaalak mal di’ :hmmm:

Re: Kyun Naam Liya Jaey???

Koelay kay dallal aur muhhabat kernay waley kaan kay neechay dab ker he mertay hain amooman.