Qalam haath main hai magar kya likhoon
kya os kay sawaloon ke jawab likhoon
Ya Jawaab main apnay kuch sawal likhoon
Ilfaaz bhi hain ,Juwaab bhi hain
magar likhoon to yeh sab kyunkar likhoon
na mile ga kuch osay jawab parh kar
na marham hogi hamaray dil ki kuch
to kis ke liye itna kuch likhoon
na samajh sakay ga hamaray ilfaz ki gehrai ko
to ek gham aur barhanay ko kyun likhoon
**ye pehla fiqra bohat acha tha aur iss zameen main kaafi achi sha’iri ho sakti thi laiken aisa lagta hai aap nain isay pay kuch zayada waqt sarf nahin kiya