Kyun aankh mai behty huay askhoon ki lari hai
Chup reh mere hum watan qayamat ki ghari hai
Hota hai kuch gumaan sa maidaan-e-hashr ka
Har Eik musalmaan ko apni pari hai
Mit jaye mera dais ye halaat bana ker
Atraaf ki har qaum tamashy pey khari hai
Phir surkh surkh hai mere daryaon ka pani
Lagta hai kaheen khon ki barsaat pari hai
Inn zaalimon ko jarr sey mita dey aye mere Rab,
Sub haath uthao key Duaoon ki ghari hai
(Request to pray for Pakistan)