kyoun??

aksar khud ko baith kar sochti houn main
aksar khud ko baith kar parakhti houn main
kyoun apnaa laiti houn khaamoshi ko
kyoun rauk daiti houn har shay ki rawaangi ko

kyoun daab daiti houn hasaas jazbon ko
kyoun ##### laiti houn apni asal ishrat ko

kyoun chaur daiti houn sacha azam
kyoun baith jaati houn ho kar barham

chaahti houn kay chaur doun yeh jhoota wajood
ab na rahoun is tanhaai mein mehdood

uthaa doun woh qadam jau day mujhay taskeen-o-sakoon
choo loun intahaa ko ban kay jazba-e-junoon!

(thumb)

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif