~Sehar ke jhatpate mai jab parinde cheh chahate hain
manazar subah ke jiss dam raseele raag gate hain
baharoan ke jaloa mai dil rubaa nagme lutate hain
hasee’n ganche chamann mai subah damm muskarate hain
Tum aise mai mujhe be-sahtaa kyoun yaad aate ho???
shafaq jab jhanktii hai daman mai kohsaaroan ke
fazaa mai thar tharate hain tarane aabsharoan ke
hawaa mai teirne lagte hain nagme joibaaroan ke
bayaabaa’n jab badal letaa hai chole sabza zaaroan ke
Tum aise mai mujhe be-sahtaa kyoun yaad aate ho???~