kyon k vo maan ka pyaara beta hai

*kyon k vo maan ka pyaara beta hai
vohi karta hai jo maan usay kehti hai

jab vo rota hai uski maan
uskay aanso poonchti hai

jab vo shaadi ki bat karta hai
to usay gussay main daant-ti hai

lakin sonay se pehlay
usko ludoo-peray khilati hai

ab vo Dubai main dooba baitha hai
akela hai shaadi shuda nahin hai

sab larkian wahaan burka pehnati hain
koee aurat usay kabhi nazr nahin aati hai

uski puraani mehbooba Pakistan main baithi hai
magar uski maan usay bahoo banana nahin chati hai

vo bechara ab kyaa karay, kabhi maan ki
kabhi mehbooba ki yaad usay aati hai

aur uski mehbooba din raat uski maan ko
dil main gaalian datey shaaeri karti rehti hai

aur vo bechaara jheel k kinaray jummay k din baith jaata hai
apna aks dekh kar mohabbat k paigam likhnay baith jaata hai*