***Kyon chupke se woh log dil mein utar jaatay hain
Jin se qismat ke sitaaray nahee miltay
Kyon humein un logoon ki aadat si ho jaati hai
Jinhain hum pehli nazar mein apna sab kuch maan letay hain
Jinhain hum na dekhain tau hamara din nahee guzarta
Jinhain hum dekhain tau hamaara dil kaabu mein nahee rehta
Jin ke hum kareeb ho kar bhi un ke hotay nahee
Aur jin se door ho kar bhi un se juda hotay nahee
Jo door reh kar bhi khushi detay hain
Aur jo paas ho kar bhi gham detay hain
Phir...
Phir wohi baat aajaati hai...
Jin se qismat ke sitaaray nahee miltay
Kyon humein un logoon ki aadat si ho jaati hai...***
…
… Nice… ![]()
bahut khoob!