aadaab dosto!
idhar kuchh arse se aap kii Khidmat meN kuchh pesh nahiiN kar sakaa. aaj kuchh vaqt haath aayaa to kuchh ahbaab kii kaavishoN par naachiiz Khayaalaat darj kiye. aur ab ek Ghazal pesh kar rahaa huuN, jo haal hii meN huii hai. hasb-e-saabiq aap kii raae kaa intizaar rahegaa.
Ghazal
**kyaa tavajjah ke nahiiN kuchh pal bhii be-chaaroN ke naam?
Khat nahiiN aataa koii ham hijr ke maaroN ke naam
kar chale shal jism ko aaKhir taqaaze zeest ke
ai Khudaa! kuchh bhej himmat ham thake haaroN ke naam
‘ab na aanaa tum hamaare aur aazaadii ke beech’
ahl-e-zindaaN kii sadaa aayii hai deevaaroN ke naam
haq-parastii, adl-o-insaaf aur iimaan-o-zameer
ho gayii har cheez, yaaro! aaj baazaaroN ke naam
kaun kahtaa hai ki ham jaisoN kaa koii ghar nahiiN?
rab ne likh dii hai zameeN saarii ye banjaaroN ke naam
‘ek ik qatre kaa tum se hashr meN hogaa hisaab’
ye hai bahte Khuun kaa paiGhaam talvaaroN ke naam
Khaak ko merii uRaane meN na kuchh tafreeq ho
nisf zarre haiN guloN ke, nisf haiN KhaaroN ke naam
vo na tujh ko bhuulte par tuu kisii qaabil na thaa
kaun rakhkhe yaad :Waseem: tujh se bekaaroN ke naam !!!**
**Waseem Ahmed**