kyaa samjhoon

**kisko qaatil main kahoon, kisko maseeha samjhoon?
sab yahaan dost hi baithe hain, kise kya samjhoon?

wo bhi kya din the ki har waham yaqeen hota tha?
ab haqeeqat nazar aayee hai to use kya samjhoon?

… dil jo toota to kayee haath dua ko utthe;
aise maahaul mein main kisko paraaya samjhoon?

zulm ye hai ki hai yaqta teri begaanaarawi;
lutf ye hai ki main ab tak tujhe apna samjhoon…..!!**

Re: kyaa samjhoon

Bohat Khoob…:k:

Re: kyaa samjhoon

waah...zabardast...lutf aa gayaa...shukran :)

Re: kyaa samjhoon

buhat khoub :cobra: