kyaa sab humein bhool chuke hain?

:shikra: maaf ki jiye.kaafi arsay say kuch gungunaya nahe hai is liye.

:shikra: aap ne tou hamray dil ke baat keh dali

:mad: Ap hamaray zameer ko thees pohancha rahe hain.:snooty: hum kaheen bhagay waagay nahe the.Apni malikah ke saath duniya ke sair ko gaye the

hayee hayee, thak to nahy gayee ?

kaneezain kahan hain app ki tangain dabba dain :@:

PS: issy bahanay main bhy zara kaneezain check ker loon :hehe:

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

flooder e azam :waves:

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

chalo maaf keya.

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

nahi nahi.. saray k saray.. sohail tanveer, afridi, aamir.. sab k sab..

jee nahin malika nay aap koh chittar maar maar ker aap ka bura haal ker diya tha jub judge any 4 saal kee qaid sunayee the. :hehe:

:mad:Aap hamari shakal ka mazaak ura rahe hain

SIPAHIYoOO isay le jao:mad:

hum bhi kaneezoon ka hi intezaar kar rahe hain:hmmm: na janay kider ghayab hain

:shikra: adab Esix Miyan

:shikra: aap bari sharartii hain lifaafa-e-jaan

:snooty: aap ke yaad dasht kamzoor maloom hoti hai.Hum nihayat hi shareef insaan hain jinhein kabhi zindagi mein jootay nahi parhay.Ek baadshah ko parh bhi kaisay saktay hain:snooty:

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

sipaheoon ko hum ne chai paani ka kharcha deke chup kerwa dia.. :@:

hum unko kal ki shahi dawat pe bula rahay hain:snooty: Ap ke pas kuch waqt bachaa hai,jitna taaza hawa khana chahtay hain kha lee jiye

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

lolx.. wo sab to ja chuay sonay k leay.. aap apni khair manayen.. :p

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

**abe oye Gaphooraa, are jaraa dekhiyo is be mulak ke Akbar baadsa ko aur kahiyo k ulli taraf jaa ke bethe. gaahk ke aane ka time he be-phajool meN bak bak kar riyaa hai iimaan se. aur kahiyo k kal se idhar aave to anThi meN maal Tala le ke aave varna ameeran bai ki galli koocha balli maaraan men sar maare jaa ke deevaar se...iiman se, saaraa mood ka styanaas maar diya he...

aise hii shayaad Akbar Baadshaah ko sunne ko milti agar vo aaj baHaisiyat ek aam insaan ke jaam'e Masjid, Delhi meN nazar aa jaayeN to.**

Disclaimer/Waiver:

zille subHaanii aapkii shaan men is Haqeer se koi gustaakhii agar sarzad huii ho to m'aaf farmaaiyegaa...hatak e izzat yaa tauheen maqsood nai thii bal k ek mizaah kaa pahloo aKhaz kiyaa thaa :)

Re: kyaa sab humein bhool chuke hain?

:salam:

ap mujhey nahi jaante cause mai new hoon

:welcome: back