~ kyaa dekhii hay tum nay kabhii ~

[thumb=A]Sard%20Chand%20Raat.JPG[/thumb]
*
kyaa dekhii hay tum nay kabhii
aesii sard sii Chandnii Raat
kay jab hawa thandii thandii ho
Fizaa bheegii bheegii ho
Rastaa mehkaa mehkaa ho
Mann chehkaa chehkaa ho
Chehra khilaa khilaa ho…
aur diL meiN jab koii gilaa na ho
LaboN pay koii Shikwa na ho
kay NigaahoN meiN Suhaaney Sapney hoN
aur wuh Sapnay tumhaaray apnay hoN
aur …
jo tum do gharii AankhaiN muundo
aur haath phaeLaao
tou mahsuus ho eik an-dekhey Shaks ka saath..
key tumharey hathoon main ho us apney ka haath
aur phir yuuNhi jo tum AankhaiN kholo
aur taaroN bharay AasmaaN ko dekho
tou palkaiN jhapakna bhuuL jao
yeh socho
key Aaj Khuda kii marzii say
eik Taara ZameeN par Utray gaa
aur tumhaaray daaman meiN dheroN khushiyaaN
daaL kar
tumhaiN hanstaa muskuraata chohR kar
waapis chalaa jaeye gaa
phir yehi sochtay sochtay
Chand kii Chandnii madham honay Lagay
aur Shab khatam honay Lagay
phir tuluu ho ArmaanoN bhara Suuraj
eik Naii UmangoN bharii Subh ka AaghaaZ ho
kay jis meiN na koii Ranjish ho
Na koii khalish ho
Na be-basii ho
Na be-kalii ho
Na koi dard ho
Na karb ho
Na hi koi mayusii ho
Aur Na Udaasii ho
bas ho tou sirf aur sirf
Umeed ho… !
*

Re: ~ kyaa dekhii hay tum nay kabhii ~

Beautiful Gul:k:…achi nazm hey…thanx for sharing.

It is beautiful.... lovely... keep it up...

zabardast

:k:

beautiful :slight_smile:
image goes well with the nazam :k:

Gul gi itni raat ko pani main bethi hain ap sardi lug jaye gi :p

hehehe j/k

Nice poem :)

buhat khoob:k:

thnxxxxx

thnxx for sharing

its nice one!

ciao

very beautiful:k::k:

nice painting;)
nice nazm gul je:):k:

Xcellent :k:

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *
Gul gi itni raat ko pani main bethi hain ap sardi lug jaye gi :p

:)
[/QUOTE]

me be yehi sooch rehi thei hamin bula laina tha Gul-e-tea....:)

:k:

:ahaa: nikamijeee
ap nei kia heater sath lana tah:biggrin:
:hehe:

nice image nazam:):k: