kya ye bhi zindagi hai ki raahat kabhi na ho
aisi bhi to kisi se mohabbat kabhi na ho
vaadaa zaruur karate hain aate nahin kabhi
phir ye bhi chaahate hain shikaayat kabhi na ho
shaam-e-visaal bhi ye taghaful ye beruKhi
teri raza hai mujhko masarrat kabhi na ho
ehbaab ne diye hain mujhe kis tarah fareb
mujhsaa bhi koi saada tabiyat kabhi na ho
lab to ye kah rahe hain ke uth, barh ke chuum le
aankhon kaa ye ishaaraa ke jurr’at kabhi na ho
dil chaahtaa hai phir vahi fursat ke raat din
mujhako to tere Khayaal se fursat kabhi na ho