Shaam ki dehleez pe
Aas ka deep jalatay ho
Aur kisi awaara pattay ki aahat per
Darwaze ki taraf bhage jatay ho
Kya tum bhi … ?
Dard chupanay ki koshish kartay kartay
Aksar thak se jatay ho
Aur bila-wajah muskuratay ho
Kya tum bhi … ?
Neend se pehlay palkoon per
Dhairoon khwaaab sajatay ho
Ya phir bistar per lait kar
Rotay rotay so jatay ho
Kya tum bhi … ?
Aakhir meri tarah
Haar jatay ho …
**