Kya Pyaar Main Aisa Hota Hai?

Kya pyar mein aissa hota hai
Kay jissay dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kay uss kay ansoo pi janay ko dil chahta hai
Kay uss kay har gham ko mitta daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai
Kay uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kay uss ka hath pakar kar ura lay janay ko dil chahta hai
Kay usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kay usski pyari pyari baton ko har paal sun nay ko dil chahta hai
Kay ussko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kay ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai
Kay usskay rastay mein giray huay har kantay ko utha dayna ko dil chahta hai
Kay ussko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai
Kay ussko har paal sapnon mein rakhnay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usski parchayee ko hee dekh kar dil khush hojata hai
Kay usski ek nazar se hee dil ko sukoon ajata hai
Kay usska chehra charon tarf chajata hai
Kay usski baat baat par pyar ajata hai
Kay usskee bahon mein dil mar jana chahta hai
Kay usski hathon ki rekhaon ko dil badal day naa chahta hai
Kay usskay naseeb mein likhi hua har gham dil apne naam karna dayna chahta hai
Kay usski har khuaesh ko dil pura kar dayna chahta hai
Kay saray jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dayna chahta hai…
Kya pyar mein aissa hota hai
Kay usske sath jina to kya
Usske sath mar janay ko dil chahta hai…
Kya pyar mein aissa hota hai…


§ÏL£ÑÇ£ ϧ ÖÑ£ GR£ÄT ÄRT ÖF ÇÖÑV£R§ÄTÏÖÑ

its true dania

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Fortunately or unfortunately, yahee hota hai piyar mein Dania

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Hota hai…hota hai…aisay kaamon mein aisa he hota hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

baat suneeN bibi, app kay symptoms bata rahay haiN kay aap ko 103 bukhaar hai
jaeeN ja kay doctor say ruju kareeN


Husn walay wafa naheeN kertay
Ishq walay dagha nahi kertay
Zulm kerna toh inki aadat hai
Yeih kisi ka bhala nahi kertay

haan...thoray dinon kay liyay aisa hota hay.
phir.......

Phir…ek aur sawal aankhon ko kheera kar deta hai ke piyar mein aisa kioon hota hai?

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

hota hota hai.

phir..*points at his Guppie Title

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


Kambakht Ishq!


~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~

~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*