http://i56.tinypic.com/2mnrfq8.jpg
**
Kabhi yaad aaye tau poochna
Zara apni khilwat-e-shaam se
Kissay ishq thaa teri zaat se
Kissay pyar thaa tere naam se
Zara yaad karo ke woh kaun thaa
Jo kabhi tujhe bhi azeez thaa
Woh jo jee utha tere naam se
Woh jo mar mitta tere naam pe
Humein be-rukhi ka nahe gilla
Ke yehi wafaoun ka hai silla
Magar aisa jurm thaa kaun sa
Gaye hum dua salaam se
Na kabhi wisal ki chaah ki
Na kabhi firaq mein aah ki
Kya mera tareeqa-e-bandagi
Hai juda tareeq-a-aam se … ?
**
Amal
2
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi … Hai juda tareeq-a-aam se ~~
What a beautiful piece Arif
… thanx for sharing it with us 
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
Tareef ka shukriya Amal ...
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
very nice1 :)
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
Shukriya Shab ...
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
achi nazm hai..share karne ka shukriya ... khush rahiye
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
Pasand karne ka aur dua ka shukriya ... GuL-e-Tasbeeh
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
Apki choice hai he zabardast :)
Re: ~~ Kya mera tareeqa-e-bandagi ... Hai juda tareeq-a-aam se ~~
Apki choice hai he zabardast
Mere bhai ... shukriya aap ka bahut bahut :~)